dekh in aankhon se kya jal-thal kar rakkha hai gham si aag ko hum ne baadal kar rakkha hai jis ne rah ke pedon ki sab shakhen katin sab ne usi ke sar par aanchal kar rakkha hai koi pahad hai apni zat ke andar jis ne khud hum se bhi hum ko ojhal kar rakkha hai patthar le kar sara shahr hai us ke pichhe ek pagal ne sab ko pagal kar rakkha hai us ne khali dasht basane ki koshish mein bhare-pure shahron ko jangal kar rakkha hai teri hasti ek furaat sahi par tu ne mere to aangan ko karbal kar rakkha hai tere jalal ke munkir to chand ek hain lekin tere azab ne sab ko be-kal kar rakkha hai ab 'shahzad' zamane se kya lena-dena hum ne bab-e-dard mukammal kar rakkha hai