dekh in chidiyon ko chidiya-ghar na dekh laut mat pichhe ko yun mud kar na dekh hathiyon ki pith par baitha hai din sham se pahle koi manzar na dekh apni diwaron se kuchh bahar nikal sirf khali ghar ke baam-o-dar na dekh pattharon ke karb ko mahsus kar mere sine par rakha patthar na dekh kar gaya suraj sabhi ko be-libas ab koi saya koi paikar na dekh apni nangi chaarpai dhanp le us ke bistar ki dhuli chadar na dekh farsh par be-lafz aawazon ko sun hinhinati ghodiyon ke sar na dekh