dekh kar dil ko pech-o-tab ke bich aa pada muft main azab ke bich kaun rahta hai tere gham ke siwa is dil-e-khanuman-kharab ke bich tere aatish-zadon ne misl-sharar umr kati hai iztirab ke bich kya kahun tujh se ab ke main tujh ko kis tarah dekhta hun khwab ke bich shama fanus mein na jab ke chhupe kab chhupe hai ye munh naqab ke bich tuk tabassum ne ki shakar-rezi bare ab talkhi-e-itab ke bich kya kahe wo ki sab huwaida hai shan teri teri kitab ke bich hai ghulami 'asar' ko hazrat-e-'dard' ba-dil-o-jaan teri janab ke bich