dekh kar ek jalwe ko tere gir hi paDa be-KHud ho musa

dekh kar ek jalwe ko tere gir hi pada be-khud ho musa
un aankhon ke sadqe jaun jo hain har-dam mahw-e-tamasha

zohd-o-wara par bhul na zahid husn ka munkir ho na diwane
sanan se ko le gaya ghafil ek ada mein ishwa-e-tarsa

dekh tajalli husn ki tere koh bahe jab ho kar pani
diwana sa bhaga wohin chaak gareban kar ke dariya

kyun na gareban phadun apna hath aur mera us ka daman
talea hain aa kar ke hua hai daman-e-yusuf dast-e-zulekha

roz ke wade roz bahane roz ye kahna aaunga kal
faeda kya in baaton ka hai hum ne miyan bas tum ko dekha

zulf-e-moambar us ne jo kholi to yun mahfil sari mahki
aawe chaman se mausam-e-gul mein baad-e-saba ka jaise jhonka

madh mein bhara hai jauban ke wo husn se us ke tapke hai masti
chah-e-zaqan hai jam-e-bilorin aur ghabghab hai shisha-e-sahba

nim nigah par dete hain dil ko jaano to kuchh le lo sahab
phir na milega warna tum ko hargiz aisa sasta sauda

kyun na chhake dil dekh ke us ko jis saqi ka howe yaro
dast-e-nigarin panja-e-marjaan saad-e-simin gardan-e-mina

'mushafi' kar ke chaak gareban chal jangal ko ai diwane
dekh to kya phula hai lala surkh hai kaisa daman-e-sahra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close