dekh us ko khwab mein jab aankh khul jati hai subh kya kahun main kya qayamat mujh pe tab lati hai subh shama jab majlis se mah-ruon ki leti hai utha kya kahun kya kya sunen us waqt dikhlati hai subh jis ka gora rang ho wo raat ko khilta hai khub raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh pas tu sota hai chanchal par gale lagta nahin minnaten karte hi sari raat ho jati hai subh nind se uthta hai 'taban' jab mera khurshid-ru dekh us ke munh ke tain sharma ke chhup jati hai subh