dekha hai aaj rah mein hum ek harir-posh

dekha hai aaj rah mein hum ek harir-posh
par yar kuchh na puchh ki kya chhab che-bar che-dosh
pitun hun kis ke gham mein sar o sina main ki aaj
ho hai ye shash-jihat se taqaza ki han ba-josh
sajda ho aastan-e-haram ka nasib-e-shaikh
main aur sar-e-niyaz o dar-e-pir-e-mai-farosh
fariyaad tin suni na meri warna gul tamam
sunne ko nala murgh-e-chaman ka hua hai gosh
'qaem' hai kiya halahil o aab-e-khizar pe hasr
aa jae bazm-e-dast mein jo kuchh so kije nosh
This is a great josh bhari shayari in hindi font. True lovers of hasrat shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sunni shayari in urdu is truly a work of art. Please share if you liked this!!!