dekha hai jis ne yar ke rukhsar ki taraf hargiz na jawe sair kun gulzar ki taraf aaina-dil ki chashm mein nur jamal dost raushan hua hai har dar-o-diwar ki taraf manzur hai salamati-e-khun agar tujhe mat dekh us ki nargis-e-bimar ki taraf wahan nahin baghair jauhar-e-shamshir khun-baha zahid na ja wo zalim-e-khunkhar ki taraf hai dil kun azm-e-chauk umid-e-visal par diwana ka khayal hai bazar ki taraf kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya dil ka makan kahan? yahi dildar ki taraf parwana kun nahin hai magar khauf-e-jaan 'siraj' nahaq chala hai shola-e-didar ki taraf