dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah hum ki hain bazm-e-gul-o-lala mein shabnam ki tarah waqt be-mehr hai is fursat-e-kamyab mein tum meri aankhon mein raho khwab-e-mujassam ki tarah arsa-e-umr mein kya kya na ruten aain magar koi thahri na yahan dard ke mausam ki tarah kis tarah us se kahun zakhm bhi hain us ki ata hath jis ka mere sine pe hai marham ki tarah main ne chaha tha ki ek jast mein pahunchun lekin rah mein sang the albatta o taham ki tarah tera ehsan hai ki shadab raha kunj-e-khayal dil-e-pur-khun ki tarah dida-e-pur-nam ki tarah us ki guftar ne chhoda na kahin ka hum ko zaiqa shahd sa tha aur asar sam ki tarah log taslim se takhrib tak aa pahunche hain dalne nikle hain ek aur hi aalam ki tarah sai-e-izhaar 'ziya' kanch ke tute hue lafz aarzuen hain kisi mahfil-e-barham ki tarah