dekhne wale ko bahar se guman hota nahin

dekhne wale ko bahar se guman hota nahin
aag kuchh aise lagai hai dhuan hota nahin

apne hone ki khabar deta hai khushbu se mujhe
phailta hai chaar-su aur darmiyan hota nahin

raushni kar de tamasha-gah se dahshat mite
kohr itna hai ki pas-e-manzar ayan hota nahin

sochna chaho to zer-e-pa mile haft-asman
dekhna chaho to zine ka nishan hota nahin

muntazir rahne se 'hamid' qufl ko zarben laga
aap hi khul jae dar aisa yahan hota nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close