dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha ek diya raushan hua to ek diya andar bujha wo to raushan qumqumon ke shahr mein mahsur tha sakht hairat hai ki aisa aadmi kyun kar bujha is siyah-khane mein tujh ko jagna hai raat bhar in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha zehn ki aawargi ko bhi panahen chahiye yun na shamon ko kisi dahliz par rakh kar bujha aur bhi ghar the hawa ki zad pe basti mein 'shafaq' mere hi ghar ka diya tufan mein akasr bujha