Dholaki dham-dhami KHanjri bhi bajaani jaani

dholaki dham-dhami khanjri bhi bajaani jaani
tan ki jaan magar tum ne na jaani jaani

hil gae mil gae an-jaanon se jun jaan pahchan
par meri qadr zari tum na pahchani jaani

lag chale jo ki raqibon ne lagaya tum ko
sanchi aur jhuti koi baat na chhani jaani

jo kaha main ne na tum ne kabhi dhar kan suna
baat kya aisi meri tum ne diwani jaani

man ne teri to mara hamein ab to man ja
ye hatela nahin dekha koi mani jaani

jaan-kani mein to zara aa ke dikhao didar
jaan mar jaunga kahta hi main jaani jaani

raat din ye jo suluk hum se kiya karte ho
dil mein kya jaaniye kya tum ne hai thani jaani

sarf ki apni tere ishq mein jaani sab umr
'azfari' ne na budhapa na jawani jaani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close