dhundle dhundle peD ugti sham ki sargoshiyan

dhundle dhundle ped ugti sham ki sargoshiyan
jo hai shah-e-rag ke qarin us nam ki sargoshiyan

jab bhi socha sar utha kar ab jiyenge kuchh dinon
gher leti hain hamein anjam ki sargoshiyan

phir gali kuchon mein sannaton ka shayad raqs ho
bantte hain log ek paigham ki sargoshiyan

kyun qabile mein bahut se log bad-zan ho gae
chand ne sun li thin kal kya baam ki sargoshiyan

raat qatra qatra tapken aankh se majburiyan
sham lamha lamha ubhrin jam ki sargoshiyan

aane wali rut mein bhi shayad na banne den hamein
aaj tak guzre hue ayyam ki sargoshiyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close