dhup chamki raat ki taswir pili ho gai

dhup chamki raat ki taswir pili ho gai
din gaya aur sard tariki nukili ho gai
jaane kis ki justuju mein is qadar ghuma kiye
hum jawan mardon ki har poshak dhili ho gai
mai-kada se ghar ki jaanib khud-ba-khud kyun aa gae
sard kamre ki faza kya phir nashili ho gai
hum sarabon ke safar ke is qadar aadi hue
jal-bhari nadiyon ki lazzat bhi kasili ho gai
khushnuma diwar-o-dar ke khwab hi dekha kiye
jism sahra zehn viran aankh gili ho gai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close