dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua hanste phul ka chehra dekhun aur bhar aae aankh apne sath ye qissa kya hai ab malum hua hum barson ke baad bhi us ko ab tak bhul na pae dil se us ka rishta kya hai ab malum hua sahra sahra pyase bhatke sari umr jale baadal ka ek tukda kya hai ab malum hua