dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai

dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai
rang-e-ashob fazaon mein lahu zinda hai

khwab dar khwab bas ek chikhte sahra ka sukut
aur aankhon mein wahi did ki khu zinda hai

shakh-e-mizhgan pe mahakne lage zakhmon ke gulab
pichhle mausam ki mulaqat ki bu zinda hai

mere saqi tere jaan-bakhsh labon ka hai ye faiz
dast-e-mai-kash mein abhi tak jo subu zinda hai

shal hua jata hai kyun hath mere qatil ka
zad pe khanjar ke abhi khushk gulu zinda hai

kapkapi fart-e-nadamat se hai maujon mein abhi
tishna-lab kaun sar-e-sahil-e-ju zinda hai

kitni jaan-soz hai is shahr-e-munafiq ki hawa
is pe 'shahid' mujhe hairat hai ki tu zinda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close