dikhawe ke liye elan-e-faiz-e-am hota hai

dikhawe ke liye elan-e-faiz-e-am hota hai
magar ek khas hi halqa mein daur-e-jam hota hai

moarrikh yun jagah deta nahin tarikh-e-alam mein
badi qurbaniyon ke baad paida nam hota hai

usi ko sochna padti hain tadbiren rihai ki
jo tair jurm-e-azadi mein zer-e-dam hota hai

habab-e-bahr ki surat ubharne ki zarurat kya
numud-e-be-mahal ka jab bura anjam hota hai

koi sarshaar ho jae koi ek bund ko tarse
inhin baaton se saqi mai-kada badnam hota hai

kahin sabze ko raunda ja raha hai lahlahane par
kahin phulon ka rang-o-bu pe qatl-e-am hota hai

zaban kyun kholte ho jurm ye duniya hai ulfat ki
ishaaron hi ishaaron mein yahan sab kaam hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close