dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate

dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate
aks pani mein utar kar nahin dekhe jate

dekh ai sust-rawi hum se kinara kar le
har qadam rah ke patthar nahin dekhe jate

wo chahak ho ki mahak ek hi rukh udti hai
bar-sar-e-dosh-e-hawa par nahin dekhe jate

dekh ai sada-dil o sada-rukh o sada-jamal
har jagah ye zar-o-zewar nahin dekhe jate

apne hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin
dard-mandon ke muqaddar nahin dekhe jate

sar-girafton ke liye ghar bhi qafas hain 'khalid'
himmat ai khira-saro sar nahin dekhe jate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close