dil dhadakta hai ki tu yar hai saudai ka tere majnun ko kahan pas hai ruswai ka barg-e-gul se bhi kam ab koh-e-gham us ne jaana ye bharosa to na tha dil ki tawanai ka kijiye chaak gareban ko bahaar aai hai zikr be-lutf hai yan sabr o shakebai ka sarw sabit-qadam is waste gulshan mein raha nahin dekha kabhi jalwa teri ranai ka zor manzur-e-nazar to tu 'fughan' rakhta hai main to banda hun teri chashm ki binai ka