dil DhunDhti hai nigah kisi ki

dil dhundhti hai nigah kisi ki
aaine ki hai na aarsi ki

malik mere main ne mai-kashi ki
lekin ye khata kabhi kabhi ki

kya shakl hai wasl mein kisi ki
taswir hain apni bebasi ki

khul jae saba ki pak-bazi
bu phute jo bagh mein kali ki

kam-bakht kabhi na khush hua tu
ai gham teri har tarah khushi ki

munh hum ne hansi hansi mein chuma
jo ho gai baat thi hansi ki

tana sa tana hai mai-kade mein
pagdi uchhli hai shaikh-ji ki

hum ko jo diya to aur ka dil
dil le ke ye achchhi dil-lagi ki

yun bhi to chala na kaam apna
dushman se bhi hum ne dosti ki

pae gae jis mein dil ke ajza
hogi wo khak usi gali ki

aisi hai ki pi sakega waiz
hai taza kashid aaj hi ki

mai khuld mein hogi surat-e-hur
maikhane mein shakl hai pari ki

ghar hai na kahin nishan lahad ka
mitti hai kharab be-kasi ki

sach ye hai ki zindagi ho ya maut
har chiz buri hai muflisi ki

achchhi hai gazak se, talkh mai se
milti rahe roz rukhi-phiki

kuchh kuchh hai 'riyaz' 'mir' ka rang
kuchh shan hai hum mein 'mushafi' ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close