dil-e-KHilqat-e-KHuda ko sanama jala na chandan

dil-e-khilqat-e-khuda ko sanama jala na chandan
ki falak ke par pahunche taf-e-ah-e-dard-mandan

kahen kya ki dekhte hain tujhe ghair sath khandan
rahe hont ho chabaate ba-jigar-fashurda-dandan

wahin jhad-gulon ke tude bandhen gulbanon ke niche
kabhu subh-dam chaman mein jo wo ghuncha-lab ho khandan

kaho kya barrar-sohbat meri us ki ho azizan
dil-e-nazuk apna shisha dil-e-sang us ka sandan

na bachega said un se koi aahu-e-haram tak
jo rahe shikar-afgan yahi ambarin-kamandan

kabhu rang se hina ke sar-e-dast-o-pa nigarin
na siwa-e-khun-e-ashiq karen ye nigar-bandan

na ho ghair sath har-dam mutabassim ai pari-wash
na namak-fishan ho dil ke sar-e-rish mustamindan

kiye shana rish ko yan abas aae shaikh ji tum
ki ye jam-e-bazm-e-rindan hai fariq-e-rish-khandan

nahin fal lab pe us ke ye hai mehr khamushi ki
wahi samjhe hai ye nukta ki jo hai bada sukhan-dan

kahin sarw se mushabah tere qad ko past-fitrat
ye hai gosh-zad hamare sukhan-e-nazar-bulandan

sabhi mahw-e-khud-numai ba-misal-e-aina hain
ye khudai se nirala hai giroh-e-khud-pasandan

teri wasf ka kamar ke na bandha kisi se mazmun
rahe khwab mein adam tak jo kai khayal bandan

'muhib' is ada ke sadqe ki uthae mar thokar
sar-e-pa-e-naznin se wo sar-e-niyaz-mandan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close