dil-e-mayus mein wo shorishen barpa nahin hotin umiden is qadar tutin ki ab paida nahin hotin meri betabiyan bhi juzw hain ek meri hasti ki ye zahir hai ki maujen kharij az dariya nahin hotin wahi pariyan hain ab bhi raja indar ke akhade mein magar shahzada-e-gulfam par shaida nahin hotin yahan ki auraton ko ilm ki parwa nahin be-shak magar ye shauharon se apne be-parwa nahin hotin talluq dil ka kya baqi main rakkhun bazm-e-duniya se wo dilkash suraten ab anjuman-ara nahin hotin hua hun is qadar afsurda rang-e-bagh-e-hasti se hawaen fasl-e-gul ki bhi nashat-afza nahin hotin qaza ke samne be-kar hote hain hawas 'akbar' khuli hoti hain go aankhen magar bina nahin hotin