dil gaya dil ka nishan baqi raha dil ki ja dard-e-nihan baqi raha kaun zer-e-asman baqi raha nek-namon ka nishan baqi raha ho liye duniya ke pure karobar aur ek khwab-e-giran baqi raha rafta rafta chal base dil ke makin ab faqat khali makan baqi raha chal diye sab chhod kar ahl-e-jahan aur rahne ko jahan baqi raha karwan manzil pe pahuncha umr ka ab ghubar-e-karwan baqi raha mil gae mitti mein kya kya mah-jabin sab ko kha kar aasman baqi raha mit gae ban ban ke kya qasr o mahal nam ko ek la-makan baqi raha aarzu hi aarzu mein mit gae aur shauq-e-astan baqi raha aish o ishrat chal base dil se 'zahir' dard o gham bahr-e-nishan baqi raha