dil hai tere pyar karne kun ji hai tujh par nisar karne kun ek lahr lutf ki hamein bas hai gham ke dariya sun par karne kun chashm meri hai abr-e-nisani girya-e-zar-zar karne kun chashm nin anjhuwan ki basti ki zulm tera shumar karne kun rashk sin jab koi chhue wo zulf dil uthe mar mar karne kun is ada sun latak latak mat aa dil mera be-qarar karne kun nanw kun garche tu mamula hai baz hai dil shikar karne kun kya karun kis se ja lagaun ghat 'abru' us ke yar karne kun