dil hi girdab-e-tamanna hai yahin Dubte hain

dil hi girdab-e-tamanna hai yahin dubte hain
apne hi gham mein tere khak-nashin dubte hain

dil faqirana tha mahr o mah o anjum na bane
khas ki manind rahe hum ki nahin dubte hain

hum agar dube to kya kaun se aaise hum the
shahr ke shahr jahan zer-e-zamin dubte hain

apni ruposhi tah-e-khak muqaddar hai to kya
dubne ko to sitare bhi kahin dubte hain

nakhuda ho ki khuda dekhte rah jate hain
kashtiyan dubti hain us ke makin dubte hain

par utarna hai to kya mauj-e-bala kaam-e-nahang
dosto aao chalo pahle hamin dubte hain

ishq wo bahr 'mujibi' hai ki dekha hum ne
khar-o-khas par hue ahl-e-yaqin dubte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close