dil ho hassas to jine mein bahut ghata hai main ne khud apne hi zakhmon ka lahu chata hai mujh pe ehsan hai meri tesha-ba-kaf sanson ka zindagi tujh ko pahadon ki tarah kata hai dub kar dekh samundar hun main aawazon ka talib-e-husn-e-samaat mera sannata hai main chatanon ki tarah jin ki kamin-gah bana rafta rafta unhin lahron ne mujhe chata hai mar chuka hun main kai bar jahan ke hathon apni lashon se 'muzaffar' ye kuan pata hai