dil jo ghabraya to uTh kar doston mein aa gaya

dil jo ghabraya to uth kar doston mein aa gaya
main ki aaina tha lekin pattharon mein aa gaya

aaj us ke baal bhi gard-e-safar se at gae
aaj wo ghar se nikal kar raston mein aa gaya

padh raha hun us kitab-e-jism ki ek ek waraq
nur sab aankhon ka khinch kar ungliyon mein aa gaya

log kahte hain ki apna shahr hai lekin mujhe
yun guman hota hai jaise dushmanon mein aa gaya

hum bhare bazar mein us waqt suli par chadhe
shahr sara tut kar jab khidkiyon mein aa gaya

shab-zadon ne raushni mangi to suraj dafatan
aasmanon se utar kar bastiyon mein aa gaya

jab sameta main ne apne reza reza jism ko
aur bhi kuchh zor 'saghar' aandhiyon mein aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close