dil ka ajib haal hai teri sada ke baad jaise ki aasman ka manzar ghata ke baad kya kya nuqush hum ne ubhaare the ret par baqi raha na koi bhi wahshi hawa ke baad bikhri hui thin chaar-su phulon ki pattiyan gulshan sanwar sanwar gaya baad-e-sada ke baad ab tak faza mein gunjti hai ek naghmagi sara jahan hi raqs mein hai is sada ke baad ab tak jala rahi hai hamein tohmaton ki dhup hum to ujad ho gae fasl-e-wafa ke baad yaaden khule kiwad ye mahki hui faza kaun aa raha hai sham ye thandi hawa ke baad