dil ka dayar-e-khwab mein dur talak guzar raha panw nahin the darmiyan aaj bada safar raha ho na saka hamein kabhi apna khayal tak nasib naqsh kisi khayal ka lauh-e-khayal par raha naqsh-garon se chahiye naqsh o nigar ka hisab rang ki baat mat karo rang bahut bikhar raha jaane guman ki wo gali aisi jagah hai kaun si dekh rahe ho tum ki main phir wahin ja ke mar raha dil mere dil mujhe bhi tum apne khawas mein rakho yaran tumhaare bab mein main hi na mo'tabar raha shahr-e-firaq-e-yar se aai hai ek khabar mujhe kucha-e-yaad-e-yar se koi nahin ubhar raha