dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua

dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
hum bhi ab kai din ji lenge is ka bhi imkan hua

ek diye ki lau ne sara shahr jala kar khak kiya
ek hawa ka jhonka ban kar aandhi aur tufan hua

aarzuon ki nichi sans ne us dar par dastak di
aur junun ka ek ek lamha mere ghar mehman hua

waqt ka katna us se puchho hijr mein jis ki guzri ho
ek ek lamha ek sadi tha kab hum par aasan hua

koi kisi ka mit nahin hai duniya kahti aai hai
hum ne jis ko apna jaana waqt pe wo anjaan hua

ishq udanon ka dushman hai kya us ko malum na tha
dil ka panchhi qaid mein aa kar kyun itna hairan hua

tanha un ki gul-afshani kuchh na puchho kaisi hai
jab bhi hazrat-e-waiz bole sab ka ji halkan hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close