dil ke zaKHmon ki chubhan dida-e-tar se puchho

dil ke zakhmon ki chubhan dida-e-tar se puchho
mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchho

ghar jala baithe charaghon ki hawas mein aakhir
ghar ki qimat to kisi khak-basar se puchho

ye to malum hai main samt-e-safar kho baithi
tum isi baat ko andaz-e-digar se puchho

ret udti hai sujhai nahin deta kuchh bhi
kat sakegi kabhi ye raat sahar se puchho

yun to majnun bhi hua kohkan o mansur hue
ghayal ab kaun hua tir-e-nazar se puchho

log kahte hain mujhe sang-e-sar-e-rah 'bushra'
qadr-o-qimat meri kuchh ahl-e-hunar se puchho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close