dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain

dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain
kuchh shikasta dar-o-diwar abhi baqi hain

chand parwane hi raqsan hain magar sham-e-hazin
shukr kar kuchh tere gham-khwar abhi baqi hain

chand ghunchon ke jigar si ke rafugar na bano
kitne dil hain jo dil-afgar abhi baqi hain

waqt aaya to tah-e-tegh bhi dohra denge
wo fasane jo sar-e-dar abhi baqi hain

ai mashihao kabhi ghar se nikal kar dekho
kis qadar shahr mein bimar abhi baqi hain

su-e-virana nikal aae jo diwane to kya
zehn mein to dar-o-diwar abhi baqi hain

khatm musa pe kahan silsila-e-shauq hua
kitne hi talib-e-didar abhi baqi hain

mere daman ko na dekho sar-e-mizhgan dekho
kis qadar abr-guhar-bar abhi baqi hain

uqde khulte hi chale jate hain har roz nae
ghaaliban mahram-e-asrar abhi baqi hain

uljhanen hum ko bhi darkar hain utni jitne
tujh mein kham kakul-e-khamdar abhi baqi hain

tinke tinke pe teri yurish-e-paiham phir bhi
aashiyan barq-e-sharar-bar abhi baqi hain

kis mein jurat hai jo phulon pe nazar dal sake
pasbani ke liye khar abhi baqi hain

jo badal sakte hain mai-khane ka dastur-e-kuhan
chand aise bhi to mai-khwar abhi baqi hain

dekh kar misr ke bazar ki raunaq 'rahi'
dil ye kahta hai kharidar abhi baqi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close