dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo

dil ki rah jae na dil mein ye kahani kah lo
chahe do harf likho chahe zabani kah lo

main ne marne ki dua mangi wo puri na hui
bas isi ko mere jine ki nishani kah lo

sarsar-e-waqt uda le gai rudad-e-hayat
wahi auraq jinhen ahd-e-jawani kah lo

jab nahin shakh-e-chaman par to mera nam hi kya
barg aawara kaho barg-e-khizani kah lo

tum se kahne ki na thi baat magar kah baitha
ab use meri tabiat ki rawani kah lo

wahi ek qissa zamane ko mera yaad raha
wahi ek baat jise aaj purani kah lo

hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain
aap-biti kaho ya marsiya-khwani kah lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close