dil ki rahen DhunDne jab hum chale

dil ki rahen dhundne jab hum chale
hum se aage dida-e-pur-nam chale

tez jhonka bhi hai dil ko nagawar
tum se mas ho kar hawa kam kam chale

thi kabhi yun qadr-e-dil is bazm mein
jaise hathon-hath jam-e-jam chale

hae wo aariz aur us par chashm-e-nam
gul pe jaise qatra-e-shabnam chale

aamad-e-sailab ka waqfa tha wo
jis ko ye jaana ki aansu tham chale

kahte hain gardish mein hain sat aasman
az-sar-e-nau qissa-e-adam chale

khil hi jaegi kabhi dil ki kali
phul barsata hua mausam chale

be-sutun chhat ke tale is dhup mein
dhundne kis ko ye mere gham chale

kaun jine ke liye marta rahe
lo sambhaalo apni duniya hum chale

kuchh to ho ahl-e-nazar ko pas-e-dard
kuchh to zikr-e-abru-e-gham chale

kuchh adhure khwab aankhon mein liye
hum bhi 'akhtar' darham o barham chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close