dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare

dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare
is khak-e-rah ko bhi koi kimiya kare

hire ki kan dekh ke aata hai ye khayal
kash is zamin se dana-e-gandum uga kare

tute kisi tarah to dhuen ka siyah tilism
har sham is dayar mein aandhi chala kare

dhime dukhon ki rakh badan par mili to hai
wo dal de nazar to mujhe aaina kare

khushbu mere ghamon ki bikhar jae dur dur
yun chup rahun ki ek zamana suna kare

bujhne lagi hai sham ke aangan mein raushni
ab mauj-e-khun-e-dil hi koi moajiza kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close