dil kis ki tegh-e-naz se lazzat-chashida hai har zakhm shauq se lab-e-hasrat-gazida hai is garm-e-iztirab se dil jal gaya khuda pahlu mein mere dil hai ki barq-e-tapida hai chusa dahan-e-zakhm ne us ko hai is tarah paikan-e-tir-e-yar zaban-e-makida hai naseh junun ki bakhiya-gari ki hawas nahin har tar-e-jaib ab to gareban-darida hai ghuncha ki tarah khak rakhen zar ko bandh kar jun bole kal yahan se to jaana jarida hai kuchh aaj zalzala sa zamin ko hai gor mein 'taskin'-e-be-qarar magar aarmida hai