dil kitna aabaad hua jab did ke ghar barbaad hue

dil kitna aabaad hua jab did ke ghar barbaad hue
wo bichhda aur dhyan mein us ke sau mausam ijad hue

namwari ki baat digar hai warna yaro socho to
gulgun ab tak kitne teshe be-khun-e-farhad hue

laenge kahan se bol rasile honton ki nadari mein
samjho ek zamana guzra boson ki imdad hue

tum meri ek khud-masti ho main hun tumhaari khud-bini
rishte mein ek ishq ke hum tum donon be-buniyaad hue

mera kya ek mauj-e-hawa hun par yun hai ai ghuncha-dahan
tu ne dil ka bagh jo chhoda ghunche be-ustad hue

ishq-mohalle mein ab yaro kya koi mashuq nahin
kitne qatil mausam guzre shor hue fariyaad hue

hum ne dil ko mar rakha hai aur jatate phirte hain
hum dil zakhmi mizhgan khunin hum na hue jallad hue

barq kiya hai aks-e-badan ne tere hamein ek tang qaba
tere badan par jitne til hain sare hum ko yaad hue

tu ne kabhi socha to hoga socha bhi ai mast-ada
teri ada ki aabaadi par kitne ghar barbaad hue

jo kuchh bhi rudad-e-sukhan thi honton ki duri se thi
jab honton se hont mile to yak-dam be-rudad hue

khak-nashinon se kuche ke kya kya nakhwat karte hain
jaanan jaan tere darban to firaun-o-shaddad hue

shahron mein hi khak uda lo shor macha lo be-ja lo
jin dashton ki soch rahe ho wo kab ke barbaad hue

samton mein bikhri wo khalwat wo dil ki rang-e-abaadi
yani wo jo baam-o-dar the yaksar gard-o-baad hue

tu ne rindon ka haq mara mai-khane mein raat gae
shaikh khare sayyad hain hum to hum ne sunaya shad hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close