dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe

dil kiye taskhir bakhsha faiz-e-ruhani mujhe
hubb-e-qaumi ho gaya naqsh-e-sulaimani mujhe

manzil-e-ibrat hai duniya ahl-e-duniya shad hain
aisi dil-jami se hoti hai pareshani mujhe

jaanchta hun wusat-e-dil hamla-e-gham ke liye
imtihan hai ranj-o-hirman ki farawani mujhe

haq-parasti ki jo main ne but-parasti chhod kar
barhaman kahne lage ilhad ka bani mujhe

kulfat-e-duniya mite bhi to sakhi ke faiz se
hath dhone ko mile bahta hua pani mujhe

khud-parasti mit gai qadr-e-mohabbat badh gai
matam-e-ahbab hai talim-e-ruhani mujhe

qaum ka gham mol le kar dil ka ye aalam hua
yaad bhi aati nahin apni pareshani mujhe

zarra zarra hai mere kashmir ka mehman-nawaz
rah mein patthar ke tukdon ne diya pani mujhe

lucknow mein phir hui aarasta bazm-e-sukhan
baad muddat phir hua zauq-e-ghazal-khwani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close