dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein

dil ko ba-nam-e-ishq sajaana pada hamein
phir ek fareb dil mein basana pada hamein

ye kis ka haal kis ko sunana pada hamein
aur dil ka haal dil se chhupana pada hamein

jal kar bhi tere nam ki khushbu bikher de
phulon mein aisi aag lagana pada hamein

daman ye khar se nahin phulon se tar hai
jaane ye kaisa qarz chukana pada hamein

jab se khushi salib-e-mohabbat pe chadh gai
hansna bhi ab udhaar mein lana pada hamein

khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade
ye aazma ke dekhne jaana pada hamein

ek aarzu ke waste kya kya nahin kiya
'ahmad' 'nisar' dil ko jalana pada hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close