dil ko dard-ashna kiya tu ne dard-e-dil ko dawa kiya tu ne tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa khak ko kimiya kiya tu ne wasl-e-jaanan muhaal thahraya qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne tha na juz gham bisat-e-ashiq mein gham ko rahat-faza kiya tu ne jaan thi ek wabaal furqat mein shauq ko jaan-guza kiya tu ne thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne rah zahid ko jab kahin na mili dar-e-mai-khana wa kiya tu ne qata hone hi jab laga paiwand ghair ko aashna kiya tu ne thi jahan karwan ko deni rah ishq ko rahnuma kiya tu ne naw bhar kar jahan duboni thi aql ko nakhuda kiya tu ne badh gai jab pidar ko mehr-e-pisar us ko us se juda kiya tu ne jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh baadshah ko gada kiya tu ne jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard dard ko be-dawa kiya tu ne jab diya rah-rau ko zauq-e-talab sai ko na-rasa kiya tu ne parda-e-chashm the hijab bahut husn ko khud-numa kiya tu ne ishq ko tab-e-intizar na thi ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne haram aabaad aur dair kharab jo kiya sab baja kiya tu ne sakht afsurda taba thi ahbab hum ko jadu nawa kiya tu ne phir jo dekha to kuchh na tha ya rab kaun puchhe ki kya kiya tu ne 'haali' uttha hila ke mahfil ko aakhir apna kaha kiya tu ne