dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye

dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye
is but-kade ko kaba-e-iman banaiye

tufan ban ke uthiye jahan-e-kharab mein
hasti ko ek sharara-e-raqsan banaiye

daudaiye wo ruh ki har zarra jag uthe
ujde hue watan ko gulistan banaiye

phir dijiye nigah ko paigham-e-justuju
manzil se kyun nazar ko gurezan banaiye

aakhir to khatm hongi kahin qaid ki haden
yusuf ko aap raunaq-e-zindan banaiye

phir apne dil mein kijiye paida koi tadap
phir mushkil-e-hayat ko aasan banaiye

'jauhar' asiriyon ki koi intiha bhi hai
aazad ek nizam-e-pareshan banaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close