dil kya kisi ki baat se andar se kaT gaya

dil kya kisi ki baat se andar se kat gaya
titli ka rabta kyun gul-e-tar se kat gaya

do-chaar gam ka hi safar rah gaya tha bas
is waqt mera qafila rahbar se kat gaya

mausam ke sard-o-garm ka jal par asar na tha
wo sang-dil bhi sher-e-sukhnawar se kat gaya

saf mein mukhalifon ki main samjha tha ghair hain
dekha jo apne logon ko andar se kat gaya

khairaat khub karta hai jab log sath hon
tanha hai wo abhi to gadagar se kat gaya

jab tak uruj tha to zamane mein dhum thi
jun hi zawal aaya wo manzar se kat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close