dil mar chuka hai ab na masiha bana karo ya hans pado ya hath utha kar dua karo ab husn ke mizaj se waqif hua hun main ek bhul thi jo tum se kaha tha wafa karo dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast kis ki ada saho to kise rahnuma karo jis se hujum-e-ghair mein hoti hain chashmaken us ajnabi nigah se bhi aashna karo ek soz ek dhuan hai pas-e-parda-e-jamal tum lakh sham-e-bazm-e-raqiban bana karo qaem usi ki zat se hai rabt-e-zindagi ai dost ehtiram-e-dil-e-mubtala karo taqrib-e-ishq hai ye dam-e-wapsin nahin tum jao apna farz-e-taghaful ada karo wo bazm se nikal ke kahte hain ai 'zahir' jao magar qarib-e-rag-e-jaan raha karo
This is a great vatan parast shayari. True lovers of wapsi shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this rehnuma shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!