dil mein hai kya azab kahe to pata chale diwar khamoshi ki dhahe to pata chale sab kuchh hi bantne ko chali aati kyun nadi us ki tarah se koi bahe to pata chale bete tu jaanta nahin hai man ki ahmiyat man ki tarah tu dard sahe to pata chale kaise batae koi jiyo kaise zindagi tu panchhiyon ke sath rahe to pata chale pine ko pani bhi na ho roti ki baat kya neta-ji bhuk tu yun sahe to pata chale