dil mein mohabbaton ke siwa aur kuchh nahin

dil mein mohabbaton ke siwa aur kuchh nahin
teri hikayaton ke siwa aur kuchh nahin

ye gham ki bhid aur ye duniya ke raste
un ki inayaton ke siwa aur kuchh nahin

apna nahin khayal magar dusron ka hai
bilkul himaqaton ke siwa aur kuchh nahin

bhai ko bhai kis liye deta hai ranj-o-gham
beja adawaton ke siwa aur kuchh nahin

ye rang-o-nasl aur tashaddud ke silsile
dushman ki rahaton ke siwa aur kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close