dil mein utregi to puchhegi junun kitna hai nok-e-khanjar hi bataegi ki khun kitna hai aandhiyan aain to sab logon ko malum hua parcham-e-khwab zamane mein nigun kitna hai jama karte rahe jo apne ko zarra zarra wo ye kya jaanen bikharne mein sukun kitna hai wo jo pyase the samundar se bhi pyase laute un se puchho ki sarabon mein fusun kitna hai ek hi mitti se hum donon bane hain lekin tujh mein aur mujh mein magar fasla yun kitna hai