dil na lo dil ka ye lena hai na iKHfa hoga

dil na lo dil ka ye lena hai na ikhfa hoga
is ko dil kahte hain bas lete hi charcha hoga

tum ko har aan udhar howegi husn-arai
hum ko har lahza idhar zauq-e-tamasha hoga

hum bhi sau chah se dekhenge tumhaari jaanib
tum se bhi zabt-e-tabassum na phir asla hoga

jun hi hum dekhenge tum aur tabassum hoge
chah ka ghuncha-e-sar-basta wahin wa hoga

guftugu howegi baham jo ishaaraat ke sath
matn is ka bhi harifon mein muhashsha hoga

panw tak hath jo lawenge kisi uzr se hum
tadne walon mein shor is ka bhi barpa hoga

jab ye taqrir suni us shah-e-khuban ne 'nazir'
hum se dil le liya aur hans ke kaha kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close