dil-o-nigah ko viran kar diya main ne shikast-e-khwab ka elan kar diya main ne jo tir aae the us ki taraf se sine par saja ke zakhmon ka gul-dan kar diya main ne ghamon ka taj mere sar pe jab se rakkha hai khud apne aap ko sultan kar diya main ne na koi phul hi rakha na aarzu na charagh tamam ghar ko bayaban kar diya main ne wo chahta tha ki sab kuchh luta ke zinda rahun lo aaj pura ye arman kar diya main ne main zad pe tiron ke khud aa gaya hun aaj 'zafar' tere nishane ko aasan kar diya main ne