dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho

dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
khwab dekho ki haqiqat se pashemani na ho
kya hua ahl-e-junun ko ki dua mangte hain
shahr mein shor na ho dasht mein virani na ho
dhundte dhundte sab thak gae lekin na mila
ek ufuq aisa ki jo dhund ka zindani na ho
gham ki daulat badi mushkil se mila karti hai
saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho
nafraton ka wahi malbus pahan lo phir se
ain mumkin hai ye duniya tumhein pahchani na ho
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close