dil se nikal yas ki zinda hun main abhi hota hai kyun udas ki zinda hun main abhi mayusiyon ki qaid se khud ko nikal kar aa jao mere pas ki zinda hun main abhi aa kar kabhi tu did se sairab kar mujhe marti nahin hai pyas ki zinda hun main abhi mehr-o-wafa khulus-o-mohabbat gudaz dil sab kuchh hai mere pas ki zinda hun main abhi lautenge tere aate hi phir din bahaar ke rahti hai dil mein aas ki zinda hun main 'nayab' shakh-e-chashm mein khilte hain ab bhi khwab sach hai tera qayas ki zinda hun main abhi