dil-sitani dilrubai par ghamanD

dil-sitani dilrubai par ghamand
aap ko hai khush-adai par ghamand

jaanta hun us ka nibhna hai muhaal
kya karun main parsai par ghamand

naz hai qatil ko apni tegh par
tegh ko hai kaj-adai par ghamand

rahm un ko haal-e-gham par aa gaya
dil kare be-dast-o-pai par ghamand

aasiyon ko rahmat-e-haq par ghurur
zahidon ko jabha-sai par ghamand

guftugu bhi mujh se tum karte nahin
is qadar is khush-adai par ghamand

parda-e-dar par kisi ko naz hai
hum ko nazron ki rasai par ghamand

ab unhen hai dil-nawazi ka khayal
tha jinhen tegh-azmai par ghamand

phir giraftar-e-qafas ho jaunga
hai abas mujh ko rihai par ghamand

ho gaya jis ke sabab se main asir
tha mujhe us khush-nawai par ghamand

gharq kar dega unhen tufan-e-ishq
'nuh' ko hai na-khudai par ghamand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close